Archive for the ‘Akhtar Shirani’ Category

25
Sep

vo kahate hai.n ranjish kii baate.n bhulaa de.n

   Posted by: ultimate   in Akhtar Shirani

vo kahate hai.n ranjish kii baate.n bhulaa de.n

vo kahate hai.n ranjish kii baate.n bhulaa de.n
muhabbat kare.n Khush rahe.n muskuraa de.n

javaanii ho gar jaavidaanii to yaa rab
terii saadaa duniyaa ko jannat banaa de.n

shab-e-vasl kii beKhudii chhaa rahii hai
kaho to sitaaro.n kii shamae.N bujhaa de.n

tum afsaanaa-e-qais kyaa puuchhate ho
idhar aao ham tum ko lailaa banaa de.n

bahaare.n simaT aaye.N khil jaaye.N kaliyaa.N
jo ham tum chaman me.n kabhii muskuraa de.n

vo aaye.nge aaj ai bahaar-e-muhabbat
sitaaro.n ke bistar me.n kaliyaa.N bichha de.n


Tell a Friend
25
Sep

nik_hat-e-zulf se niindo.n ko basaa de aakar

   Posted by: ultimate   in Akhtar Shirani

nik_hat-e-zulf se niindo.n ko basaa de aakar

nik_hat-e-zulf se niindo.n ko basaa de aakar
merii jaagii huii raato.n ko sulaa de aakar

[nik_hat-e-zulf=fragnance of the hair]

kis qadar tiiraa-o-taariik hai duniyaa merii
jalvaa-e-husn kii ik shamaa jalaa de aakar

[taariik=dark]

ishq kii chaa.Ndanii raate.n mujhe yaad aatii hai.n
umr-e-raftaa ko merii mujh se milaa de aakar

[umr-e-raftaa=past life]

zauq-e-naadiid me.n lazzat to hai magar naaz nahii.n
aa mere ishq ko maGaruur banaa de aakar

[zauq-e-naadiid=desire for not seeing]
[naaz=pride; maGaruur=proud]


Tell a Friend
25
Sep

merii shaam-e-Gam ko vo bahalaa rahe hai.n

   Posted by: ultimate   in Akhtar Shirani

merii shaam-e-Gam ko vo bahalaa rahe hai.n

merii shaam-e-Gam ko vo bahalaa rahe hai.n
likhaa hai ye Khat me.n ki ham aa rahe hai.n

Thahar jaa zaraa aur dard-e-furqat
hamaare tasavvur me.n vo aa rahe hai.n

[dard-e-furqat=sorrow of parting]

Gam-e-aaqabat hai na fikr-e-zamaanaa
piye jaa rahe hai.n jiye jaa rahe hai.n

[aaqabat=life after death]

nahii.n shikavaa-e-tashnagii mayakasho.n ko
vo aa.Nkho.n se maiKhaane barasaa rahe hai.n

vo rashk-e-bahaar aanevaalaa hai “Akhtar”
ka.Nval hasarato.n ke khile jaa rahe hai.n

[rashk=envy]


Tell a Friend
25
Sep

mastaanaa piye jaa yuu.N hii mastaanaa piye jaa

   Posted by: ultimate   in Akhtar Shirani

mastaanaa piye jaa yuu.N hii mastaanaa piye jaa

mastaanaa piye jaa yuu.N hii mastaanaa piye jaa
paimaanaa to kyaa chiiz hai maiKhaanaa piye jaa

kar garq may-o-jaam Gam-e-gardish-e-ayyaam
ab ai dil-e-naakaam tuu maiKhaanaa piye jaa

[garq=drown; Gam-e-gardish-e-ayyaam=sorrow of everyday life]

may-noshii ke aadaab se aagaah nahii.n tuu
jis tarah kahe saaqii-e-maiKhaanaa piye jaa

[may-noshii=drinking; aadaab=ways/traditions/rituals]
[aagaah=acquainted with]

is bastii me.n hai vahashat-e-mastii hii se hastii
diivaanaa ban aur baadaa-e-diivaanaa piye jaa

maiKhaane ke ha.ngaame.n hai.n kuchh der ke mehamaa.N
hai subah qariib “Akhtar” divaanaa piye jaa


Tell a Friend
25
Sep

mai.n aarazuu-e-jaa.N likhuu.N yaa jaan-e-aarazuu

   Posted by: ultimate   in Akhtar Shirani

mai.n aarazuu-e-jaa.N likhuu.N yaa jaan-e-aarazuu

mai.n aarazuu-e-jaa.N likhuu.N yaa jaan-e-aarazuu
tuu hii bataade naaz se iimaan-e-aarazuu

iimaan-o-jaan nisaar terii ik nigaah par
tuu jaan-e-aarazuu hai tuu iimaan-e-aarazuu

ik vo ke aarazuuo.n pe jiite hai.n umr bhar
ik ham ke hai.n abhii se pashemaan-e-aarazuu

aa.Nkho.n se juu-e-Khuu.N hai ravaa.N dil hai daaG daaG
dekhe ko_ii bahaar-e-gulistaan-e-aarazuu


Tell a Friend
25
Sep

kyaa kah ga_ii kisii kii nazar kuchh na puuchhiye

   Posted by: ultimate   in Akhtar Shirani

kyaa kah ga_ii kisii kii nazar kuchh na puuchhiye

kyaa kah ga_ii kisii kii nazar kuchh na puuchhiye
kyaa kuchh huaa hai dil pe asar kuchh na puuchhiye

vo dekhanaa kisii kaa kunakhiyo.n se baar baar
vo baar baar us kaa asar kuchh na puuchhiye

ro ro ke is tarah se kaTii raat kyaa kahe.n
mar mar ke kaise kii hai sahar kuchh na puuchhiye

“Akhtar” dayaar-e-husn me.n pahu.Nche.n to hai.n mar ke ham
kyuu.N kar huaa hai tay ye safar kuchh na puuchhiye


Tell a Friend
25
Sep

kaam aa sakii.n na apanii vafaaye.n to kyaa kare.n

   Posted by: ultimate   in Akhtar Shirani

kaam aa sakii.n na apanii vafaaye.n to kyaa kare.n

kaam aa sakii.n na apanii vafaaye.n to kyaa kare.n
ik bevafaa ko bhuul na jaaye.n to kyaa kare.n

mujh ko ye etaraaf duaao.n me.n hai asar
jaaye na arsh par jo duaaye.n to kyaa kare.n

[etaraaf=concurrence/agree; arsh=seventh heaven]

ik din kii baat ho to use bhuul jaaye.n ham
naazil ho.n roz dil pe balaaye.n to kyaa kare.n

[naazil=to fall upon; balaaye.n=troubles]

shab bhar to un kii yaad me.n taare ginaa kiye
taare-se din ko bhii nazar aaye.n to kyaa kare.n

[shab bhar=the whole night; taare-se=like stars]

ahad-e-tarab kii yaad me.n royaa kiye bahut
ab muskuraa ke bhuul na jaaye.n to kyaa kare.n

[ahad-e-tarab=promise of good times]

ab jii me.n hai ki un ko bhulaa kar hii dekh le.n
vo baar baar yaad jo aaye.n to kyaa kare.n

tark-e-vafaa bhii jurm-e-muhabbat sahii “Akhtar”
milane lage.n vafaa kii sazaaye.n to kyaa kare.n

[tark-e-vafaa=end of faithfulness (love)]


Tell a Friend
25
Sep

jo bhii buraa bhalaa hai allaah jaanataa hai

   Posted by: ultimate   in Akhtar Shirani

jo bhii buraa bhalaa hai allaah jaanataa hai

jo bhii buraa bhalaa hai allaah jaanataa hai
bande ke dil me.n kyaa hai allaah jaanataa hai

ye farsh-o-arsh kyaa hai allaah jaanataa hai
pardo.n me.n kyaa chhupaa hai allaah jaanataa hai

jaakar jahaa.N se ko_ii vaapas nahii.n hai aataa
vo kaun sii jagaah hai allaah jaanataa hai

nekii-badii ko apane kitanaa hii tuu chhupaaye
allaah ko sab pataa hai allaah jaanataa hai

ye dhuup-chhao.n dekho ye subah-shaam dekho
sab kyuu.N ye ho raha hai allaah jaanataa hai

kismat ke naam ko to sab jaanate hai.n lekin
kismat me.n kyaa likhaa hai allaah jaanataa hai


Tell a Friend
25
Sep

har ek jalvaa-e-rangii.n merii nigaah me.n hai

   Posted by: ultimate   in Akhtar Shirani

har ek jalvaa-e-rangii.n merii nigaah me.n hai

har ek jalvaa-e-rangii.n merii nigaah me.n hai
Gam-e-firaaq kii duniyaa dil-e-tabaah me.n hai

kisii kii yaad-e-karam uf are ma’azallaah
tabaah hoke bhii zaalim dil-e-tabaah me.n hai

hazaar pardo.n me.n o chhupanevaale ye sun le
teraa jamaal mere daaman-e-nigaah me.n hai

jahaa.N me.n mujhe bhii naakaam-e-aarazuu kam hai
na rang aah me.n hai aur na soz aah me.n hai


Tell a Friend
25
Sep

dil-o-dimaaG ko ro luu.Ngaa aah kar luu.Ngaa

   Posted by: ultimate   in Akhtar Shirani

dil-o-dimaaG ko ro luu.Ngaa aah kar luu.Ngaa

dil-o-dimaaG ko ro luu.Ngaa aah kar luu.Ngaa
tumhaare ishq me.n sab kuchh tabaah kar luu.Ngaa

agar mujhe na milii.n tum tumhaare sar kii qasam
mai.n apanii saarii javaanii tabaah kar luu.Ngaa

mujhe jo dair-o-haram me.n kahii.n jagah na milii
tere Khayaal hii ko sajdaagaah kar luu.Ngaa

[sajdagaah=place of worship]

jo tum se kar diyaa maharuum aasmaa.N ne mujhe
mai.n apanii zindagii sarf-e-gunaah kar luu.Ngaa

[maharuum=deprived; sarf-e-gunaah=submitted to sin]

raqiib se bhii miluu.Ngaa tumhaare hukm pe mai.n
jo ab talak na kiyaa thaa ab aah kar luu.Ngaa

[raqiib=rival]

tumhaarii yaad me.n mai.n kaaT duu.Ngaa hashr ke din
tumhaare hijr me.n raate.n siyaah kar luu.Ngaa

hariim-e-hazarat-e-salamaa kii simt jaataa huu.N
huaa na zabt to chupake se aah kar luu.Ngaa

ye naubahaar ye abr-o-havaa ye rang-e-sharaab
chalo jo ho so ho ab to gunaah kar luu.Ngaa

kisii hasiinaa ke maasuum ishq me.n “Akhtar”
javaanii kyaa hai mai.n sab kuchh tabaah kar luu.Ngaa


Tell a Friend
25
Sep

ai ishq hame.n barbaad na kar

   Posted by: ultimate   in Akhtar Shirani

ai ishq hame.n barbaad na kar

ai ishq na chhe.D aa aa ke hame.n
ham bhuule huo.n ko yaad na kar
pahale hii bahut naashad hai.n ham
tuu aur hame.n naashaad na kar
qismat kaa sitam hii kam nahii.n kuchh
ye taazaa sitam ijaad na kar
yuu.N zulm na kar bedaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

jis din se mile hai.n dono.n kaa
sab chain gayaa aaraam gayaa
cheharo.n se bahaar-e-subah ga_ii
aa.Nkho.n se faroG-e-shaam gayaa
haatho.n se Khushii kaa jaam chhuuTaa
ho.nTho.n se ha.Nsii kaa naam gayaa
GamGii.n na banaa naashaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

raato.n ko uTh uTh rote hai.n
ro ro kar duaaye.n karate hai.n
aa.Nkho.n me.n tasavvur dil me.n Khalish
sar dhunate hai.n aahe.n bharate hai.n
ai ishq ye kaisaa rog lagaa
jiite hai.n na zaalim marate hai.n
ye zulm to ai jallaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

ye rog lagaa hai jab se hame.n
ranjiidaa huu.N mai.n biimaar hai vo
har vaqt tapish har vaqt Khalish
be-Khvaab huu.N mai.n bedaar ha vo
jiine se idhar bezaar huu.N mai.n
maranbe pe udhar tayyaar hai vo
aur zabt kahe fariyaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

bedard zaraa insaaf to kar
is umr me.n aur maGmuum hai vo
phuulo.n kii tarah naazuk hai abhii
taaro.n kii tarah masuum hai vo
ye husn sitam ye ranj Gazab
majabuur huu.N mai.n mazaluum hai vo
mazaluum pe yuu.N bedaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

ai ishq Khudaaraa dekh kahii.n
vo shoKh hasii.n badanaam na ho
vo maah-e-laqaa badanaam na ho
vo zohraa-jabii.n badanaam na ho
naamuus kaa us ko paas rahe
vo pardaa-nashii.n badanaam na ho
us pardaa-nashii.n ko yaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

ummiid kii jhuuThii jannat ke
rah rah ke na dikhalaa Khvaab hame.n
aa_iindaa ke farzii ishrat ke
vaade se na kar betaab hame.n
kahataa hai zamaanaa jis ko Khushii
aatii hai nazar kaamayaab hame.n
chho.D aisii Khushii ko yaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

do din hii me.n ahad-e-tifalii ke
maasuum zamaane bhuul gaye
aa.Nkho.n se vo Khushiyaa.N miT sii ga_ii.n
lab ke vo taraane bhuul gaye
un paak bahishtii Khvaabo.n ke
dilchasp fasaane bhuul gaye
un Khvaabo.n se yuu.N aazaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

aa.Nkho.n ko ye kyaa aazaar huaa
har jazb-e-nihaa.N par ro denaa
aahang-e-tarab pe jhuk jaanaa
aavaaz-e-fuGaa.N par ro denaa
barbat kii sadaa par ro denaa
mutrib ke bayaa.N par ro denaa
ehasaas ko Gam buniyaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

jii chaahataa hai ik duusare ko
yuu.N aaTh pahar ham kare.n
aa.Nkho.n me.n basaaye.n Khvaabo.n ko
aur dil ko Khayaal aabaad kare.n
Khilvat me.n bhii jo jalvat kaa saamaa.N
vahadat ko du_ii se shaad kare.n
ye aarazuue.n ijaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

vo raaz hai ye Gam aah jise
paa jaaye ko_ii to Khair nahii.n
aa.Nkho.n se jab aa.Nsuu bahate hai.n
aa jaaye ko_ii to Khair nahii.n
zaalim hai ye duniyaa dil ko
yahaa.N bhaa jaaye ko_ii Khair nahii.n
hai zulm magar fariyaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar

duniyaa kaa tamaashaa dekh liyaa
GamGii.n sii hai betaab sii hai
ummiid yahaa.N ik vaham sii hai
taskiin yahaa.N ik Khvaab sii hai
duniyaa me.n Khushii kaa naam nahii.n
duniyaa me.n Khushii nayaab sii hai
duniyaa me.n Khushii ko yaad na kar
ai ishq hame.n barbaad na kar


Tell a Friend
25
Sep

kisii se kabhii dil lagaayaa na thaa

   Posted by: ultimate   in Akhtar Shirani

kisii se kabhii dil lagaayaa na thaa

kisii se kabhii dil lagaayaa na thaa
muhabbat kaa sadamaa uThaayaa na thaa

hasiino.n ke rone pe ha.Nsate the ham
kabhii ek aa.Nsuu bahaayaa na thaa

ko_ii huur ho yaa parii apanaa sar
kisii aastaa.N par jhukaayaa na thaa

siyaah gesuuo.n ko tamannaa rahii
magar dil ko ham ne pha.Nsaayaa na thaa

[siyaah=dark/black]

zamaane me.n vo kaun thaa zoharaa_vash
ke siine se jis ne lagaayaa na thaa

basar kii sadaa aish-o-isharat me.n umr
kabhii ranj ham ne uThaayaa na thaa

magar ik jhalak ne hame.n kho diyaa
ye sadamaa to ham ne uThaayaa na thaa

kiyaa ishq ke dard me.n mubtilaa
“falak tuu ne itanaa ha.Nsaayaa na thaa
ke jis ke ivaz yuu.N rulaane lage”


Tell a Friend