Archive for the ‘Akhtar ul Iman’ Category

25
Sep

tasavvur

   Posted by: ultimate   in Akhtar ul Iman

phir vahii maa.Nge hue lamhe, phir vahii jaam-e-sharaab
phir vahii taariik raato.n me.n Khayaal-e-maah_taab
phir vahii taaro.n kii peshaanii pe rang-e-laazavaal
phir vahii bhuulii hu_ii baato.n kaa dhundhalaa saa Khayaal
phir vo aa.Nkhe.n bhiigii bhiigii daaman-e-shab me.n udaas
phir vo ummiido.n ke madafan zindagii ke aas-paas
phir vahii fardaa kii baate.n phir vahii miiThe saraab
phir vahii bedaar aa.Nkhe.n phir vahii bedaar Khvaab
phir vahii vaaraftagii tanhaa_ii afasaano.n kaa khel
phir vahii ruKhsaar vo aaGosh vo zulf-e-siyaah
phir vahii shahar-e-tamannaa phir vahii taariik raah
zindagii kii bebasii uff vaqt ke taariik jaal
dard bhii chhinane lagaa ummiid bhii chhinane lagii
mujh se merii aarazuu-e-diid bhii chhinane lagii
phir vahii taariik maazii phir vahii bekaif haal
phir vahii besoz lamhe.n phir vahii jaam-e-sharaab
phir vahii taariik raato.n me.n Khayaal-e-maah_taab

[madafan=tomb; fardaa=tomorrow/future; saraab=illusion]
[bedaar=sleepless; vaaraftagii=to be lost in oneself]
[saragoshii=whispering; taariik=dark; bekaif=lifeless]


Tell a Friend
25
Sep

jumuud

   Posted by: ultimate   in Akhtar ul Iman

tum se berangii-e-hastii kaa gilaa karanaa thaa
dil pe anbaar hai Khuu.Ngashtaa tamannaao.n kaa
aaj TuuTe hue taaro.n kaa Khayaal aayaa hai
ek melaa hai pareshaan sii ummiido.n kaa
chand paz_murdaa bahaaro.n kaa Khayaal aayaa hai
paa.Nv thak thak ke rah jaate hai.n maayuusii me.n
pur_mahan raah_guzaaro.n kaa Khayaal aayaa hai
saaqii-o-baadaa nahii.n jaam-o-lab-e-juu bhii nahii.n
tum se kahanaa thaa ki ab aa.Nkh me.n aa.Nsuu bhii nahii.n

[Khuu.Ngashtaa=dripping with blood; paz_murdaa=wilted]
[pur_mahan=full of sorrow; lab-e-juu=river side]


Tell a Friend
25
Sep

izhaar

   Posted by: ultimate   in Akhtar ul Iman

dabii hu_ii hai mere labo.n me.n kahii.n pe vo aah bhii jo ab tak
na sholaa ban ke bha.Dak sakii hai na ashk-e-besuud ban ke nikalii
ghuTii hu_ii hai nafas kii had me.n jalaa diyaa jo jalaa sakii hai
na shamaa ban kar pighal sakii hai na aaj tak duud ban ke nikalii
diyaa hai beshak merii nazar ko vo paratau jo dard baKhshe
na mujh par Gaalib hii aa sakii hai na meraa masjuud ban ke nikalii

[ask-e-besuud =worthless tears; duud=smoke; paratau=image]
[Gaalib=victorious; masjuud=prayer


Tell a Friend
25
Sep

ittefaaq

   Posted by: ultimate   in Akhtar ul Iman

dayaar-e-Gair me.n ko_ii jahaa.n na apanaa ho
shadiid karb kii gha.Diyaa.N guzaar chukane par
kuchh ittefaaq ho aisaa ki ek shaam kahii.n
kisii ek aisii jagah se ho yuu.N hii meraa guzar
jahaa.N hujuum-e-gurezaa.N me.n tum nazar aa jaao
aur ek ek ko hairat se dekhataa rahe

[karb=sorrow; hujuum-e-gurezaa.N=running crowd]


Tell a Friend
25
Sep

bint-e-lamhaat

   Posted by: ultimate   in Akhtar ul Iman

tumhaare lahaje me.n jo garmii-o-halaavat hai
ise bhalaa saa ko_ii naam do vafaa kii jagah
ganiim-e-nuur kaa hamalaa kaho a.Ndhero.n par
dayaar-e-dard me.n aamad kaho masiihaa kii
ravaa.N-davaa.N hue Khushbuu ke qaafile har suu
Khalaa-e-subah me.n guu.Njii sahar kii shahanaa_ii
ye ek koharaa saa ye dhu.Ndh sii jo chhaa_ii hai
is iltahaab me.n surmagii.n ujaale me.n
sivaa tumhaare mujhe kuchh nazar nahii.n aataa
hayaat naam hai yaado.n kaa talKh aur shiirii.n
bhalaa kisii ne kabhii rang-o-buu ko paka.Daa hai
shafaq ko qaid me.n rakhaa sabaa ko band kiyaa
har ek lamahaa gurezaa.N hai jaise dushman hai
na tum milogii na main ham bhii dono.n lamhe hai.n
vo lamhe.n jaake jo vaapas kabhii nahii.n aate

[halaavat=sweetness; ganiim=enemy; aamad=arrival]
[ravaa.N-davaa.N=scattered/spread]
[Khalaa-e-subah=morning silence]
[iltahaab=stupor; surmagiin=surmaa_ii = kohl lined]
[talKh=bitter; shiirii.n=sweet; shafaq=twilight/night]
[gurezaa.N=fleeing/fleeting]


Tell a Friend
25
Sep

beta’alluqii

   Posted by: ultimate   in Akhtar ul Iman

shaam hotii hai sahar hotii hai ye vaqt-e-ravaa.N
jo kabhii mere sar pe sang-garaa.N ban ke giraa
raah me.n aayaa kabhii merii himaalaa ban kar
jo kabhii ukdaa banaa aisaa ki hal hii na huaa
ashk ban kar merii aa.Nkho.n se kabhii Tapakaa hai
jo kabhii Khuun-e-jigar ban ke mizshGaa.N par aayaa
aaj bevaastaa yuu.N guzaraa chalaa jaataa hai
jaise mai.n kashmakash-e-ziist me.n shaamil hii nahii.n

[vaqt-e-ravaa.N=passing time; sang-garaa.N=heavy stone]
[himaalaa=Himalayas; ukdaa=problem; mizshGaa.N = eyelash]
[bevaastaa=without any relationship]


Tell a Friend
25
Sep

aaKhirii mulaaqaat

   Posted by: ultimate   in Akhtar ul Iman

aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manaaye.N ham

aatii nahii.n kahii.n se dil-e-zindaa kii sadaa
suune pa.De hai.n kuuchaa-o-baazaar ishq ke
hai shama-e-anjuman kaa nayaa husn-e-jaa.N gudaaz
shaayad nahii.n rahe vo patango.n ke val_vale
taazaa na rakh sakegii rivaayaat-e-dasht-o-dar
vo fitnaasar gaye jinhe.n kaa.NTe.n aziiz the

ab kuchh nahii.n to niind se aa.Nkhe.n jalaaye.N ham
aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manaaye.N ham

sochaa na thaa ki aayegaa ye din bhii phir kabhii
ik baar ham mile hai.n zaraa muskuraa to le.n
kyaa jaane ab na ulfat-e-deriinaa yaad aaye
is husn-e-iKhtiyaar pe aa.Nkhe.n jhukaa to le.n
barasaa labo.n se phuul terii umr ho daraaz
sanbhale hue to hai.n. par zaraa Dagamagaa to le.n

[jashn-e-marg-e-muhabbat=celebration of the death of love]
[gudaaz=melted; val_vale=enthusiasm; fitnaasar=mad]
[ulfat-e-deriinaa=old love]


Tell a Friend