Archive for the ‘Bekal Utsahi’ Category

28
Sep

udaas kaaGazii mausam me.n rang-o-buu rakh de

   Posted by: ultimate   in Bekal Utsahi

udaas kaaGazii mausam me.n rang-o-buu rakh de

udaas kaaGazii mausam me.n rang-o-buu rakh de
har ek phuul ke lab pe meraa lahuu rakh de

[rang-o-buu = colour and smell]

zabaan-e-gul se chaTTaane.n taraashane vaale
sukuut-e-naqsh me.n aaraa_ish-e-namuu rakh de

giraa.N lage hai jo ehasaan dast-e-qaatil kaa
uTh aur teG ke lab pe rag-e-guluu rakh de

[giraa.N = heavy; dast-e-qaatil = hands of a murderer]
[teG = sword; rag-e-guluu = neck’s main nerve/vein]

chalaa hai jaanib-e-maiKhaanaa aaj phir vaa_iz
kahii.n na jaam pe lab apane bevazuu rakh de

[jaanib = towards; vaa_iz = preacher]

Khudaa kare meraa munsif sazaa sunaane me.n
meraa hii sar mere qaatil ke ruu-ba-ruu rakh de

samandaro.n ne bulaayaa hai tujh ko ai ‘Bekal’
tuu apanii pyaas kii saharaa me.n aabaruu rakh de

[saharaa = wilderness]


Tell a Friend
28
Sep

jab se ham tabaah ho gaye

   Posted by: ultimate   in Bekal Utsahi

jab se ham tabaah ho gaye

jab se ham tabaah ho gaye
tum jahaa.N_panaah ho gaye

husn par nikhaar aa gayaa
aa_iine siyaah ho gaye

aa.Ndhiyo.n ko kuchh pataa nahii.n
ham bhii gard-e-raah ho gaye

dushmano.n ko chiTThiyaa.N likkho
dost Khair-Khvaah ho gaye


Tell a Friend