ye saaraa jism jhuk kar bojh se duharaa huaa hogaa
ye saaraa jism jhuk kar bojh se duharaa huaa hogaa
mai.n sajde me.n nahii.n thaa aap ko dhokaa huaa hogaa
[jism = body; duharaa = doubled; sajdaa = prostrated in prayer]
yahaa.N tak aate aate suukh jaatii hai.n sabhii nadiyaa.N
mujhe maaluum hai paanii kahaa.N Thaharaa huaa hogaa
Gazab ye hai ki apanii maut kii aahaT nahii.n sunate
vo sab ke sab pareshaa.N hai.n vahaa.N par kyaa huaa hogaa
[Gazab = amazing/surprising]
tumhaare shahar me.n ye shor sun-sun kar to lagataa hai
ki insaano.n ke jangal me.n ko_ii hanaakaa huaa hogaa
ka_ii faake bitaakar mar gayaa jo us ke baare me.n
vo sab kahate hai.n ab aisaa nahii.n aisaa huaa hogaa
[faake = hunger]
yahaa.N par sirf guu.nge aur bahare log basate hai.n
Khudaa jaane yahaa.N par kis tarah jalasaa huaa hogaa
[jalasaa = celebration/festive gathering]
chalo ab yaad_gaaro.n kii andherii koTharii khole.n
kam_az_kam ek vo cheharaa to pahachaanaa huaa hogaa
[kam_az_kam = at the very least/if nothing else]
Tell a Friend
kahaa.N vo tay thaa charaaGaa.N har ek ghar ke liye
kahaa.N vo tay thaa charaaGaa.N har ek ghar ke liye
kahaa.N charaaG mayassar nahii.n shahar ke liye
[mayassar = available]
yahaa.N daraKhto.n ke saaye me.n dhuup lagatii hai
chalo yahaa.N se chale aur umr bhar ke liye
[daraKht = tree
na ho qamiiz to ghuTano.n se peT Dhak le.nge
ye log kitane munaasib hai.n is safar ke liye
[munaasib = appropriate]
Khudaa nahii.n na sahii aadamii kaa Khvaab sahii
ko_ii hasiin nazaaraa to hai nazar ke liye
vo mutama_in hai.n ki patthar pighal nahii.n sakataa
mai.n beqaraar huu.N aavaaz me.n asar ke liye
[mutama_in = content]
jiye.n to apane baGiiche me.n gul_mohar ke liye
mare.n to Gair kii galiyo.n me.n gul_mohar ke liye
Tell a Friend
ho ga_ii phir parbat-sii pighalanii chaahiye
ho ga_ii phir parbat-sii pighalanii chaahiye
is himaalay se ko_ii gangaa nikalanii chaahiye
aaj ye diivaar pardo.n kii tarah hilane lagii
shart lekin thii ki buniyaad hilanii chaahiye
har sa.Dak par har galii me.n har nagar har gaao.n me.n
haath leharaate huye har laash chalanii chaahiye
sirf hangaamaa kha.Daa karanaa meraa maqsad nahii.n
merii koshish ye hai ki ye suurat badalanii chaahiye
mere siine me.n nahii.n to tere siine me.n sahii
ho kahii.n bhii aag lekin aag jalanii chaahiye
Tell a Friend
chaa.Ndanii chhat pe chal rahii hogii
chaa.Ndanii chhat pe chal rahii hogii
ab akelii Tahal rahii hogii
phir meraa zikr aa gayaa hogaa
vo barf-sii pighal rahii hogii
kal kaa sapanaa bahut suhaanaa thaa
ye udaasii na kal rahii hogii
sochataa huu.N ki band kamare me.n
ek shama-sii jal rahii hogii
tere gahano.n sii khan_khanaatii thii
baajare kii fasal rahii hogii
jin havaao.n ne tujh ko dularaayaa
un me.n merii Gazal rahii hogii
Tell a Friend